Mobile & Quran Part=1


      Quran Muqadas Woh Azmat Wali Kitab Hai Jis Ki Hifazat Ka Zimma Khud Allah Ta’aala Ne Le Rakkha Hai Har Dour Men Ye Kitab Musalmano Ki Rahnumai Karti Nazar Aati Hai, Jab Bhi Jis Dour Men Bhi Fitno Ne Janam Liya Qurane Muqaddas Ne Un Fitno Se Bachne Ka Tariqa Hamen Ata Farmaya .
Ye Baat Zehan Nasheen Rahe K Qurane Muqaddas Kisi Ilm (Technology/Science) K Husul Aur Unse Fayda Uthane Se Nahi Rokta Magar Shart Ye Hai K Halal Aur Jayaz Tarike Par Inse Fayda Uthaya Jaye Mobile Phone 21th Sadi Ki Ijad Hai.
Aur Aaj Alam Ye Hai K Worker Se Lekar School Men Padhne Wale Bachon Aur Bachiyon Tak Ye Mobile A Chukka Hai Jahan Mobile K Bahut Se Fayde Hen Wahi Bahut Se Nuksanat Bhi Hen Jahan Log Isse Fayda Utha Rahe Hen Wahi Ilme Deen Se Doori K Sabab Mobile Ka Galat Istemaal Karke Allah Rasool K Nafarman Ho Kar Zindgi Basar Kar Rahe Hen Aur Waleden Aur Socity K Liye Sar Dard Bane Huye Hen. Kal Tak Mobile Se SMS Ka Hi Masla Tha Lekin Ab MMS Ka Masla Samne A Chuka Hai  Pahle Sirf Lafzon K Zariye Awargi Ki Jati Thi Magar Ab Fahash Tasweeron K Zariye Awargi Ki Ja Rahi Hai Walden Apne Bachon Ko Unki Nigrani Aur Rabte K Liye Mobile Dete Hen Magar Aulad Mobile K Galat Istemaal Se Apni Dunya Bhi Barbad Kar Rahi Hai Aur Akhirat Bhi Barbad Karne Par Tuli Hai
Mobile Men Aakhir Hota Kya Hai? Sar Goshi Hoti Hai Do Log Apas Men Guftgu Karte Hen K Unhen Teesra Sun Nahi Pata! Isi Tarah Ki Sargoshi K Bare Men Rab Taala Irshad Fermata Hai “Ay Imaan Walo Jab Tum Apas Men Sargoshi Karo To Gunaah Aur Had Se Badhne Aur Rasool Ki Nafarmaani K Silsile Men Sar Goshi Na Karo Agar Tum Ko Sargoshi Karna Hi Hai To Neki Aur Achhi Baton K Baren Men Sargoshi Karo”
(Surah: Mujadlah_9) Is Farmaane Ilahi K Bawajood Aaj Mobile Ka Istemaal Bure Kamo Men Ho Raha Hai Na Jane Kitne Kharab Aur Bekar Sms K Zariye Nojawan Zehan Barbad Ho Rahe Hen Aur Allah Rasool Ki Nafarmaani Men Apni Zindgi Basar Kar Rahe Hen Aisi Hi Sargoshiyo Se Rukne Ka Hukm Allah Taala Ne Aaj Se 1400 Saal Qabal Quran Men Nazil Farma Diya Hai Allah Janta Tha K Rabte Aur Sargoshi K Liye Ye Sab Se Aham Cheez Ban Jayegi Isliye Hamare Rab Ne Hamen Pahle Hi Khabardar Farma Diya K Ay Imaan Walo Gor Farmaeye K Ye Aam Logo Se Khitab Nahi Hai Balki Imaan Walo Ko Rab Agah Farma Raha Hai Aur To Aur Sirf Itne Par Hi Ayate Karima Khamosh Nahi Hui Balki Age Irshad Hota Hai “Aur Allah Se Daro Jiski Taraf Tum Uthaye Jaoge”(Surah Mujadlah:9) Yani Allah Ki Bargaah Men Hame Hazir Hona Hai Aur Apne Amaal Ka Hisab Dena Hai Lihaza Hum Aisi Koi Harkat Na Karen Jis Se Uski Bargaah Men Hamen Sharmindgi Uthana Pade.
Is Ayat Se 2 Aham Baten Maloom Huin (1) Aise Kamo Se Bachna Jinke Karne Men Gunaah Ho (2) Islamic Hudood Ko Todne Se Apne Aap Ko Bachana Jinko Todne Se Allah Rasool Naraz Hote Hen Is Liye K Jo In Hado Ko Todte Hen Unke Liye Quran Irshaad Fermata Hai “Aur Jo Allah Ki Hadon Age Badhen To Wahi Log Zalim Hen”(Surah Baqarah:140) In Ayaat Se Pata Chalta Hai K Hum Jab Bhi Bolen Acha Bolen Nek Baten Doosron Tak Pahuchaen Jaisa K Khud Mola Taala Irshaad Fermata Hai “Logo Se Achhi Baat Kaho” (Surah Baqarah:83) Magar In Ayat K Bawajood Aaj K  Nojawan SMS/MMS Ka Galat Istemaal Karte Nazar A Rahe Hen Aur Ye Sochte Hen K Kon Dekh Raha Hai Kon Hamari Baaten Sun Raha Hai Magar Jao Us Aleem Khabir Rab Ki Azmat Par K Usne Apni Muqaddas Kitab K Ander Qayamat Tak Ane Wali Is Qism Ki Buraiyon Bachne Ki Takeed Aur Tariqa Hamen Ata Farmaya Hai Ane Wali Ayat Ko Padh Kar Yaad Rakhenge To Kabhi Kisi Cheez Ko Khilafe Sariyat Istemaal Karne Ka Khayal Dil Men Na Ayega Allah Taala Farmata  Hai “Kya Tumne Na Dekha K Allah Janta Hai Jo Kuch Aasmano Men Hai Aur Jo Kuch Aasmano Men Hai Jahan Bhi Teen Shaks Sargoshi  Karte Hen To Chotha Who Mojud Hota Hai Aur Jahan Panch Hon To Chhata Who Aur Na Is Se Kum Na Ziyada Magar Ye K Allah Unke Sath Hai Jahan Kahi Hon Phir Unhen Qayamat K Din Bata Dega Jo Kuch Unhone Kiya Be  Shak Allah Sab Kuchh Jantha Hai” (Surah Mujadalah:7) Aziz Brothers Is Ayat Ko Agar Aap Gor Se Padhen To Ye Baat Aapke Zehan Men Ajayegi K Aadmi To Apne Rab Se Gafil Ho Kar Gunaah K Kam Karta Hai Galat Baaten Karta Hai Magar Allah Apne Bando K Haal Se Hargiz Gafil Nahi Aur Qayamat Men In Amaal Hisaab Bhi Farmayega Khoob Yaad Rakhye K Aaj Jo Badkirdaryan Friendship Aur Pata Nahi Kya Kya Ho Raha Hai? In Sari Cheese K Bare Men Ye Baat Zehan Me Rahe K Allah Taala Ne Chahe Computer Ho Mobile Ho Inke Istemaal Se Nahi Roka Balki Usne Inke Istemaal Ka Jayaz Tariqa Bataya K Tum Nek  Aur Achhi Baton Men Inko Istemaal Karo Buraiyon K Liye Istemaal Na Karo Is Liye K Agar Tumne Be Hayai K Liye Inka Istemaal Kiya Aur Ek Doosre Ko Galat SMS/MMS Bheje To Suno Quran Farmata Hai “Woh Log Jo Musalmano Men Burai Phelana Chahte Hen Unke Liye Dunya Aur Akhirat Men Dardnaak Azab Hai”(Surah Noor:19) Aziz Bhaiyo Aur Bahno Is Ayat Ko Baar Baar Padhen Aur Apne Dil Men Khofe Khuda Ko Bedar Karen Agar Bhool Se Aap Mobile Ka Galat Istemaal Kar Bethen Hen To Rab Taala Ki Baargaah Men Toba Karen Aur Aaj Se  Ahad Kar Len K Hum Mobile Ka Istemaal Shariyat K Dayre Men Rah Kar Karenge Doosron Tak Achhi Baaten Pahuchane K Liye Karenge Islam K Pegaam Ko Aam Karne K Liye Karenge
Allah Taala Ki Bargaah Men Dua Hai K Hum Sub Ko Gunaaho Se Bachne Aur Nekiya Phelane Ki Tofiq Ata Farmaye (Ameen)
Apeel :- Is Qurani Pegaam Ko Doosron Tak Pahuchane Ki Koshish Karen Aap Ko Bhi Sawab Milega.
Note:- Mobile Se Mutal’liq Aham Masail Part (2) Zaroor Mulahiza Farma Lijiye Inshaa Allah Bahut Se Masail Hal Ho Jayenge.