Mobile Se Mutalliq Masail
Q. (1) Mobile Ko Viberation Ya Silent Kar K Namaz Ki Halat Men Jeb Men Rakhna Kaisa Hai ? Viberation Ki Halat Me Phone Aane Par Mobile Barabar Harkat Karta Rahta Hai Jab K Silent Hone Ki Surat Me Bager Awaz K Sirf Light Jalti Rahti Hai Dono Soorto Me Khalal Yaqini Hai Kya Hokum Hai ?
A. Namazi K Aage Ya Uske Paas Koi Aisi Cheez Ka Hona Jo Dil Ko Mashgool Rakhe Makruh Hai Mobile Viberated Ho Ya Silent Agar Who Namazi K Dil Ko Mashgool Rakhe Ya Uski Wajah Se Dil Bate To Namaz Makrooh Hogi Aur Is Se Khayal Na Bate Aur Na Hi Dil Mashgool Hota Ho To Karahat Nahi.
Q. (2)Namaz Ki Halat Me Phone Aaya To Jeb Se Nikal Kar Swich Off Kar Diya Ya Cut Kar Diya Halite Namaz Me Aisa Karna Durust Hai Ya Nahi?
A. Namaz Ki Halat Me Aisa Karna Amale Kaseer Hai Jis Se Namaz Fasid Ho Jati Hai.
Q. (3) Namazi Apne Aage Mobile Rakh Kar Namaz Padh Raha Tha Phone Aane Par Amale Qaleel Se Canle Kar Diya To Kya Hokum Hai Neez Halate Qayam Ya Halate Ruku Me Tha Dono Hath Khol Kar Mobile Band Kiya To Kya Hokum Hai?
A. Namazi K Samne Mobile Hai Aur Usne Amale Qaleel Yani 1ya2 Martaba Ki Harkat Se Band Kar Diya To Namaz Fasid Na Hogi Magar Aisi Surat Karahat Se Khali Nahi Lihaza Aisa Karne Se Bachen Aur Dono Hatho Se Band Karne Ki Surat Me Namaz Fasid Ho Jayegi.
Q. (4) Aaj Kal Camre Wale Mobile Aam Ho Gaye Hain Jin Se Log Mahram Gair Mahram Ki Photo Aur Video Bana Lete Hain Aise Logo Ka Kya Hokum Hai.
A. Tasweer Banana Banwana Bagair Kisi Zarurate Shar’ee Apne Paas Rakhna Sab Haram Hai Hadith Paak Me Iski Sakht Waeeden Aayi Hain “Hazrat Ibne Abbas Se Marvi K Sarkar Ne Farmaya Har Tasweer Banane Wala Jahannam Me Hai Allah Taala Har Tasweer K Badle Jo Usne Banai Thi Ek Aisi Makhlooq Peda Farmaiga Jo Us Tasweer Banane Wale Ko Azab Degi” (Bukhari Muslim) ‘Hazrat Ibne Umar Se Marwee K Sarkar Ne Farmaya Be Shak Jo Log Tasweer Banate Hain Qayamat K Din Unpar Azab Kiya Jayega Unse Kaha Jayega “Ye Tasweer Jo Tum Ne Banai Hai Unme Jaan Dalo” (Bukhari Muslim Nisai) Tahqeeq Ye Hai K Video Camre Aur Mobile Me Jo Aks Bandi Hoti Hai Uska Hokum Bhi Tasweer Ka Hai.
Q. (5) Kuchh Log Ringtone Ki Jagah Azan Ayaate Quran Wagairah Set Karke Rakhte Hain Aur Phone Aane Par In Kalemaat K Mukammal Hone Se Qabal Recive Kar Lete Hain Jis Se Maana Fasid Ho Jata Hai Aisi Surat Me Kya Hokum Hai.
A. In Kalimaat Ko Ringtone Par Set Karna Jayaz Nahi K Be Adbi Ka Gumaan Hai K Toilet Wagairah Napaak Jagah Mobile Apne Saath Le Jaye Aur Wahi Bajne Lage Aur Jab Be Adbi Ka Ihtemaal Hai To Bachna Behtar Hai .
Q. (6) Jis Mobile Me Gumbade Khijra Ya Doosre Mazhabi Program Ho Use Toilet Me Le Jane Ka Kya Hokum Hai?
A. Mobile Screen Par Jo Tasweer Ya Harf Aate Hen Laser Se Bante Hain Screen Se Gayab Hone K Baad Beainehi Unka Wajood Baqi Nahi Rahta Lihaza Jab Mobile Band Ho Aur Uski Screen Par Kuchh Na Ho To Karahat Nahi Honi Chahiye.
Dini Guzarish-:Bahut Se Log Ringtone Ki Jagah Gaana Set Karke Rakhte Hain Aur Uske Liye Har Mahine Paise Bhi Ada Karte Hain Yaad Rakhye-:
(1) Gaane Sunna Mana Hain.
(2) Ye Fuzul Kharchi Hai Jo Az Ruye Quran Sakht Haram Hai Allah Taala Fermata Hai “Be Shak Fuzul Kharch Wale Shaitan K Bhai Hain”(Surah Bani Israeel).
(3) Ye K Kahin Aisa Na Ho K Yahi Fuzul Kharchi Aakhirat Me Hamare Liye Wabale Jaan Ban Jaye.
Is Par Agar Gor Kiya Jaye To Ek Tarah Se Ye Gunaah Mol Khareedna Hai Agar Hum Usi Paise Se Har Mahina Kisi Gareeb Ko Khana Khila Den To Hamen Ek Gareeb Ki Dua Bhi Mil Jayegi Aur Allah Ki Khushnudi Bhi Hasil Hogi Aur Ho Sakta Hai K Yahi Paisa Aakhirat Me Hamare Kaam Aa Jaye.
Is Paighaam Ko Padhne Wale Tamam Bhai Bahno Se Guzaarish Hai K Khud Bhi Buraiyo Se Door Rahen Aur Doosron Ko Bhi Bachane Ki Koshish Karen.